ek dafa ki baat hai ek aurat apne chote se bache ko lekar Huzur Purnur ke paas aai..kaha" YaNabi isey nasihat kijiye ke itna meetha na khaaya kare..Aanhazrath ne kaha do din baad isko leti ana..vo aurat achanbe may pad gaii..sochti hui chali gaii aakhir is choti si nasihat ke liye do din ki taakhir kyon?
Do din baad apne nhanne ladke ko Huzur Sallam ke paas phir laai..Huzur ne bade pyaar se us bache ko nasihat ki..Maa jo kahe maana karo..zyada meetha muzar bhi ho sakta hai..us aurat ne Huzur se pocha" Ya RasulAllah aakhir ye majra kya hai? is nasihat ke liye do din kyon lagey?
Huzur muskuraye aur boley" baat ye hai ke meetha mujhe bhi pasand hai..mai bhi khaa liya karta hun..lihaza do din maine meetha khaane se parhez kiya aur aaj bache ko nasihat ki..taaki qaul aur aml may faraq na rahe..jub tak mai khud us fale se baaz nahi aata kisi dusre ko uski nasihat kaise karun?" aise they hamaare Pyaare Nabi..
so lijiye is blog ki pehli recipe haazir hai..
Soji ki kheer
--------------
1/4 cup (chaaye ki) soji
sugar hasb-e-khahish(1 cup)
doodh hasb-e-zarurat( lugbhag 11/2 liter)
condensed milk 1/2 tin
kaju badam kishmish hasb-e-zarurat
ilaaichi kuti huii 1/4 teaspoon
ghee 1/4 cup
Tareeqa
------------
Ek saaf suthre bartan ko stove per rakh den..
do tablespoon ghee daalen,
phir soji daal kar chamach chalayen..
halka sa rang badlne per usme ilaichi powder daalen,
ab doodh daalte huye chamach chalati jaayen...
soji ko doodh may pakne den..
5 min baad usme shakkar daalen.
ab mazeed 5 min pakne den..
phir condensed mlk daalen..
halki aanch per pakne den..
ek pan may kaju kishmish halke sunheri fry karlen..
badam ki giriyaan alag se rakh len..
ab kheer may dry fruits daalen...
2 ya 3 min pakne den phir utarlen..
aur badam ki giriyon se gaarnih karen.
lijiye zayeqedaar kheer tayar hai..
No comments:
Post a Comment