Monday, May 3, 2010

Pyaare Shikampuri Kabab


Dosto muddat huii inka deedaar kiye huye…jiska humen tha intizaar lo vo ghadi aagaii..shikam puri ( pet ki khaana puri ) tou purana mashgala hai her zee-rooh( her jaandar ka) ka..waise hum insaanon ne isko zaayeqon ke chatkharon ka aadi bana diya..tahzeeb ki ibtida ,zayeqe ki intiha..Adab-e-dastar-khwan may mukhtalif zaayeqon ki sajawaton ko shaamil kiya gaya..aur dheere dheere her dastarkhwan shaahi dastarkhwan banta chala gaya..ye thi insaan ke zayeqon ki irteqa ( bulandi ).aur Dosto aaj ki is lazeez recipie ka naam hai shikampur shaami kababs filling waaley…jaise kallan miyaan lucknow waaley…ji bilkul wahi..ye Nawabi zaayeqa humen bhi mumtaaz karta hai..jitna aala zauq utna aala zaayeqa…so lijiye janaab shikampur ko apne bawarchi khaane ki zeenath banaaii jaaye..tou phir aaiye.hum aap aur kadhaii milkar machaayen dhoom…


Ingredients+Direction

-------------------

2 lbs kheema (minced meat)
1/2 cup of Bengal gram lentil
1 tsp cumin seeds
5 pods green cardamom
2 sticks cinnamon
5 cloves
1/4 tsp turmeric pwd
1 tsp red chilli pwd

2 tsp ginger garlic paste

½ cup fresh coriander leaves

6 green chillies

2 tbs grated coconut

1 finely chopped onion
oil or ghee
water


Mix all the above ingredients and cook in a pressure cooker
until all the water evaporates and the meat and dal is cooked.
Then add salt and blend in a mixie and knead it like a dough.Shape into round pattis.

For filling

-------------

2 finely chopped onions
3 tbsp finely chopped fresh mint leaves
4 tbsp grated yogurt cheese
6 deseeded and chopped green chillis
salt


Mix all the ingredients for the filling.

Flatten the pattis and put a tbsp of the filling in the center and reshape into a patti.Refridgerate for 20-25 mts

Pre-heat a griddle adding oil/ghee and shallow fry kebabs ,Let them cook on low heat ,both sides till golden brown.


Serve with salad,rotis and ketchup or hot sauce.