Thursday, October 26, 2017

Surkh Murgh ( chicken laali )









Related image

Salam Dosto.....lijiye phir hum aur tum aur dastarkhwan....kyon na hum badayein is niyamat ki shaan....khuda ne insan ki khatir kya kya nahi nawaza...in niyamaton ka iwaz shukur ke siwa kya hosakta hai...usne zindagi ke liye ghiza bakhshi...ghiza ke saath zaayeqa bhi...ab insan kahan chund zaayeqon per tamam karne waala...vo aur aur ki khoj may kya kya khojta chala gaya....aur ek khoj ye bhi teheri...dosto bi murghi ne anek zaayeqon may khud ko pesh kar ke kitne dilon ko shaad kiya...ek hamare ghar ki nhanni ki demand roz yehi hai...chicken chawal...hmmmm...to chalein aaj hum bi murghi ku halke phulke masalon se arasta karein...aur aapke dinner ki ,lunch ki, dawaton ki zeenat badhayein....zindagi hazar niyamat hai aur us per ye zaayeqa mazeed inayet hai....

to phir chalein jhatpat murgh chillie masala tayar karein..aayein aayein....is zaayeqe ko mohabbat ka salam aaj ye rahega ulfat ke naam....



Chicken Chilli Masala
-----------------------------
Ingredients 
-----------------
500 gms chicken
3 big onions
A bunch of coriander leaves
10 green chillies
2 Tbsp peppercorn
1 Tbsp jeera
A bunch of curry leaves
1 Tbsp ginger-garlic paste
4 Tbsp oil
Salt, to taste
---------------------------------------
Direction
------------
Grind coriander, ginger, garlic, curry leaves, jeera, pepper corns and green chilli together. Make an onion paste. Wash the chicken and drain the excess water. Add the paste made out of the ingredients and 1 tsp oil to the washed chicken and allow it to marinate for half an hour. Heat oil in a pan.Add the onion paste into the pan and allow it to fry till the raw smell of the onion is gone. Once it turns brown in colour, add the marinated chicken and allow it to cook on a low flame till the chicken is cooked. (Add water in small quantity as and when required.)Add the required amount of salt once the chicken is cooked and allow it to cook for a couple of minutes to let the chicken absorb the salt. The chicken is ready to serve. 

Note: Do not close the lid while the cooking the chicken and keep stirring it every 5 minutes so that it does not stick to the pan. 

Saturday, October 21, 2017

Puri garam garam...

Related image





Adab Dosto,aaj phir hum hain aur aap ki yaad aur iske saath ek zaayeqa aap ki khatirdari ki khatir pesh hai...ye stuffed puries khususan bachon ki marghub dish hai...isey bataur snack lunch box ki zeenat bana sakte hain aap...ye aur baat hai ke bache to bache baap re baap ka shor bhi mach sakta hai...gharz ye ke her ek ki pasandeeda hain ye khasta namkin aur chatkhaare daar puriyaan...asan hain banane may us se bhi asan hain khaane may...muh khula aur ye jaa vo jaa...ghaayeb...seedhe dusri ki taraf dil lalchane lagta hai...dusri puri kuch aur nahi saheb..khayal ki udan dastarkhwan tak hi rahe warna hosakta hai biwi meherbaan hokar pehelwan na hojaaye...puriyon ki bajaaye belan haath aaye....so zaayeqa ki shert sirf biwi vo bhi ek adad...

chalein hum aur aap aur ye puriyaan....mitaayein fasslon ki dooriyaan...


Stuffed Puri
------------------

Ingredients 
-----------------------------

1 cup flour
1 cup arhar dal (split pigeon peas
1 tsp red chilli powder
1 tsp asafoetida (hing)
1 tsp fennel seeds, roasted and powdered
1 tsp ginger paste
1 tsp kaala jeera (onion seeds)
Vegetable oil to fry
Sugar to taste
Salt to taste

Direction

-------------
Strain arhar dal (split pigeon peas) and blend along with hing and fennel powder to form paste. In a pan heat 2 tbsp oil. Add kaala jeera, ginger paste and a pinch of salt after 5 to 10 seconds. Saute for 5 to 10 seconds again. Add arhar dal paste, 1 tsp sugar, 1 tsp salt, red chilli powder and cook on low flame until the water is absorbed well. Stir in the middle to avoid sticking to pan.

For the dough:In a bowl take flour, 1 tsp salt and 2 tsp sugar.  Add 1 cup warm water.Keep the dough covered for 20 minutes before cooking.Roll a dough to make a small round and place 1 tbsp of stuffing in the center. Bring all the edges together and close it. Roll again to give the shape of a puri. Apply the same process to the rest of the dough.In a pan heat enough oil for deep frying. Slide one puri into oil and turn it over when one side starts to inflate. Make sure that both the sides are well fried. Serve hot with masala aloo or sweet tamarind syrup and curd.


They're part of a typical Sunday breakfast . Killer lentil stuffed puris that are hot, round, fluffy and will surely make your day.



  1. .